kahte hain ki chalta hai usulon pe zamana
kahte haiñ ki chaltā hai usūloñ pe zamāna
sachchā.ī kā duniyā ne magar raaz na jaanā
karte haiñ farāmosh jo dushvārī-e-manzil
hote haiñ haqīqat meñ vahī 'āqil-o-dānā
tum kaun ho ho jā.egā har shaḳhs ko mā'lūm
chehre pe jo Daale ho vo parda na uThānā
ye kah ke 'hasan' dost mirā ho gayā ruḳhsat
fursat jo mile tum ko ġhazal apnī sunānā
kahte hain ki chalta hai usulon pe zamana
sachchai ka duniya ne magar raaz na jaana
karte hain faramosh jo dushwari-e-manzil
hote hain haqiqat mein wahi 'aqil-o-dana
tum kaun ho ho jaega har shaKHs ko ma'lum
chehre pe jo Dale ho wo parda na uThana
ye kah ke 'hasan' dost mera ho gaya ruKHsat
fursat jo mile tum ko ghazal apni sunana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.