kahte hain rahguzar hai teri dil kahen jise
kahte hain rahguzar hai teri dil kahen jise
Aashufta Shahjahanpuri
MORE BYAashufta Shahjahanpuri
kahte haiñ rahguzar hai tirī dil kaheñ jise
phir kaun sā maqām hai manzil kaheñ jise
is jalva-gāh-e-dahr meñ ik jalva bhī nahīñ
mere mazāq-e-dīd ke qābil kaheñ jise
kaisī bahār-e-lāla-o-gul kaise mehr-o-māh
aisā hai kaun terā muqābil kaheñ jise
yuuñ to sabhī haiñ dard-e-mohabbat se faiz-yāb
dil ham usī ko samjheñge vo dil kaheñ jise
hogā vo koī aur yaqīnan vo tum nahīñ
hāl-e-tabāh se mire ġhāfil kaheñ jise
nākām hasratoñ ne use aur dī jilā
vo dāġh-e-yādgār ġham-e-dil kaheñ jise
haañ tum vafā-parast ho dil se mujhe qubūl
vo to kaho vo kaun hai qātil kaheñ jise
tārāj-e-ġham se dil bhī to vīrān ho chukā
kahiye kahāñ hai aap kī manzil kaheñ jise
kahte hain rahguzar hai teri dil kahen jise
phir kaun sa maqam hai manzil kahen jise
is jalwa-gah-e-dahr mein ek jalwa bhi nahin
mere mazaq-e-did ke qabil kahen jise
kaisi bahaar-e-lala-o-gul kaise mehr-o-mah
aisa hai kaun tera muqabil kahen jise
yun to sabhi hain dard-e-mohabbat se faiz-yab
dil hum usi ko samjhenge wo dil kahen jise
hoga wo koi aur yaqinan wo tum nahin
haal-e-tabah se mere ghafil kahen jise
nakaam hasraton ne use aur di jila
wo dagh-e-yaadgar gham-e-dil kahen jise
han tum wafa-parast ho dil se mujhe qubul
wo to kaho wo kaun hai qatil kahen jise
taraj-e-gham se dil bhi to viran ho chuka
kahiye kahan hai aap ki manzil kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.