kahte shab-e-visal mein wo bar bar hain
kahte shab-e-visal mein wo bar bar hain
Inayat Ali Khan Inayat
MORE BYInayat Ali Khan Inayat
kahte shab-e-visāl meñ vo baar baar haiñ
laao miyāñ vo daam jo pahle udhār haiñ
shaitāñ bhī muflisī meñ satātā hai raah meñ
Dhele haiñ dekh lījiye jo māl-dār haiñ
dar-parda mujh se karte haiñ vo jaan kā savāl
kahte jo dam-ba-dam vo mujhe dam madār haiñ
ārām hai surūr hai kyā sukh badan ke saath
kambaḳht haiñ jo log nasīban ke yaar haiñ
allah re muflisī ki mujhe pā ke nange sar
juute ke gāñThne se gurezāñ chamār haiñ
jo saiñkaḌoñ na lete the kahte haiñ ab vo yuuñ
dilvāo kuchh hameñ ki bahut zer-e-bār haiñ
ye dhun bañdhī huī hai vatan kī ki rāt-din
ġhurbat meñ bhī alāpte ham deskār haiñ
shān-e-ḳhudā ki taan 'ināyat' pe vo kareñ
jo log tansen ke ḳhud rishta-dār haiñ
kahte shab-e-visal mein wo bar bar hain
lao miyan wo dam jo pahle udhaar hain
shaitan bhi muflisi mein satata hai rah mein
Dhele hain dekh lijiye jo mal-dar hain
dar-parda mujh se karte hain wo jaan ka sawal
kahte jo dam-ba-dam wo mujhe dam madar hain
aaram hai surur hai kya sukh badan ke sath
kambaKHt hain jo log nasiban ke yar hain
allah re muflisi ki mujhe pa ke nange sar
jute ke ganThne se gurezan chamar hain
jo sainkaDon na lete the kahte hain ab wo yun
dilwao kuchh hamein ki bahut zer-e-bar hain
ye dhun bandhi hui hai watan ki ki raat-din
ghurbat mein bhi alapte hum deskar hain
shan-e-KHuda ki tan 'inayat' pe wo karen
jo log tansen ke KHud rishta-dar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.