kahti hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe
kahtī huuñ sach ki jhuuT kī aadat nahīñ mujhe
is daur meñ kisī se adāvat nahīñ mujhe
sab se vafā ḳhulūs mohabbat hai zindagī
kohna rivāyatoñ se baġhāvat nahīñ mujhe
sar āñkhoñ par biThātī huuñ mehmān koī ho
dhartī pe rahne vāloñ se nafrat nahīñ mujhe
rishtoñ kā ehtirām hai merī nigāh meñ
sartābiyoñ se us kī shikāyat nahīñ mujhe
kirdār meñ talāsh na kiije koī shikan
apne kisī amal se nadāmat nahīñ mujhe
ġham to ye hai ki tū ne bhī pūchhā na aa ke haal
ahl-e-sitam se koī shikāyat nahīñ mujhe
kahti hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe
is daur mein kisi se adawat nahin mujhe
sab se wafa KHulus mohabbat hai zindagi
kohna riwayaton se baghawat nahin mujhe
sar aankhon par biThati hun mehman koi ho
dharti pe rahne walon se nafrat nahin mujhe
rishton ka ehtiram hai meri nigah mein
sartabiyon se us ki shikayat nahin mujhe
kirdar mein talash na kije koi shikan
apne kisi amal se nadamat nahin mujhe
gham to ye hai ki tu ne bhi puchha na aa ke haal
ahl-e-sitam se koi shikayat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.