kahun duniya mein ab main kis se ja kar
kahūñ duniyā meñ ab maiñ kis se jā kar
agar karnā hai kuchh thoḌī vafā kar
hamāre baḳht meñ aañsū nahīñ haiñ
koī hāsil nahīñ dariyā bahā kar
maiñ ḳhālī chashm lauT aaya dobāra
tū dariyā hai to do aañsū atā kar
ye duniyā ho ki uqbā imtihāñ hai
koī gosha pakaḌ ḳhud ko paḌhā kar
na hāsil kā na ġham lā-hāsilī kā
uThā haath apne aur ḳhālī duā kar
maiñ ashraf bhī yahāñ barbād bhī huuñ
vo be-shak ḳhush hai ye duniyā basā kar
shikasta dil kā jis dam naaz TuuTā
tapish sī rah ga.ī sham.eñ bujhā kar
maiñ pheñk aaya huuñ dil dasht-e-nahī meñ
ab ik qissa hai chāhe to sunā kar
gila kyā kījiye is zindagī se
milī hasrat tamannā.eñ sajā kar
kabhī hotā thā aaqā bahr-o-bar kā
magar ab vo hai san.at-gar kā chākar
pukārā thā ise ābād kar de
vo jaatā hai hamāre dil ko Dhā kar
hai ansārī to phir ye māñgnā kyā
akele meñ kahīñ tanhā sadā kar
kahun duniya mein ab main kis se ja kar
agar karna hai kuchh thoDi wafa kar
hamare baKHt mein aansu nahin hain
koi hasil nahin dariya baha kar
main KHali chashm lauT aaya dobara
tu dariya hai to do aansu ata kar
ye duniya ho ki uqba imtihan hai
koi gosha pakaD KHud ko paDha kar
na hasil ka na gham la-hasili ka
uTha hath apne aur KHali dua kar
main ashraf bhi yahan barbaad bhi hun
wo be-shak KHush hai ye duniya basa kar
shikasta dil ka jis dam naz TuTa
tapish si rah gai shamen bujha kar
main phenk aaya hun dil dasht-e-nahi mein
ab ek qissa hai chahe to suna kar
gila kya kijiye is zindagi se
mili hasrat tamannaen saja kar
kabhi hota tha aaqa bahr-o-bar ka
magar ab wo hai sanat-gar ka chaakar
pukara tha ise aabaad kar de
wo jata hai hamare dil ko Dha kar
hai ansari to phir ye mangna kya
akele mein kahin tanha sada kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.