kahun kis se ba-juz tere KHudaya aarzu dil ki
kahun kis se ba-juz tere KHudaya aarzu dil ki
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
kahūñ kis se ba-juz tere ḳhudāyā aarzū dil kī
murād apnī hamesha tujh se hī bas maiñ ne hāsil kī
sañbhalnā hotā mushkil ġhair hālat hotī qātil kī
bahut achchhā huā dekhī taḌap us ne na bismil kī
tū hī ma.abūd hai merā tū hī matlūb hai merā
yahī matlūb hai mujh ko tamanna hai yahī dil kī
ġharaz tauf-e-haram se kyā har ik zarre meñ hai jalva
zarūrat kuchh nahīñ sālik ko is vīrān manzil kī
agar chāhe ki auj-e-baḳht hāsil ho nasīhat sun
vafūr-e-ḳhāksārī se ye daulat sab ne hāsil kī
ġhazab hai imtihāñ meñ mere aage qatl ho koī
gale par pher lūñgā chhīn kar talvār qātil kī
ḳhizāñ meñ dekh kar rang-e-chaman kyā ranj hotā hai
dukhā detī haiñ dil ko haa.e fariyādeñ anādil kī
zarā Thahro farishto kuchh to yaañ ārām lene do
uThā kar aa rahā huuñ saḳhtiyāñ hastī kī manzil kī
kabhī bechain rahtā hai phaḌaktā hai kabhī bar meñ
batā.ūñ kyā tumheñ maiñ kaisī hālat hai mire dil kī
makāñ meñ mere tum aa.e baḌī ye mehrbānī kī
yahī ḳhvāhish tamanna bhī yahī thī bas mire dil kī
jise sab 'shād' kahte haiñ tire dar kā bhikārī hai
karegā tū hī yā-rab puurī hājat apne saa.il kī
kahun kis se ba-juz tere KHudaya aarzu dil ki
murad apni hamesha tujh se hi bas main ne hasil ki
sanbhalna hota mushkil ghair haalat hoti qatil ki
bahut achchha hua dekhi taDap us ne na bismil ki
tu hi mabud hai mera tu hi matlub hai mera
yahi matlub hai mujh ko tamanna hai yahi dil ki
gharaz tauf-e-haram se kya har ek zarre mein hai jalwa
zarurat kuchh nahin salik ko is viran manzil ki
agar chahe ki auj-e-baKHt hasil ho nasihat sun
wafur-e-KHaksari se ye daulat sab ne hasil ki
ghazab hai imtihan mein mere aage qatl ho koi
gale par pher lunga chhin kar talwar qatil ki
KHizan mein dekh kar rang-e-chaman kya ranj hota hai
dukha deti hain dil ko hae fariyaaden anadil ki
zara Thahro farishto kuchh to yan aaram lene do
uTha kar aa raha hun saKHtiyan hasti ki manzil ki
kabhi bechain rahta hai phaDakta hai kabhi bar mein
bataun kya tumhein main kaisi haalat hai mere dil ki
makan mein mere tum aae baDi ye mehrbani ki
yahi KHwahish tamanna bhi yahi thi bas mere dil ki
jise sab 'shad' kahte hain tere dar ka bhikari hai
karega tu hi ya-rab puri hajat apne sail ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.