kahun kis se ki dhundlae hue hain
kahūñ kis se ki dhuñdlā.e hue haiñ
jo manzar aañkh par chhā.e hue haiñ
kināre se kināre tak hai vahshat
nadī ke raag ghabrā.e hue haiñ
kuchh aise ḳhvāb jin se Dar rahā huuñ
guzishta raat se aa.e hue haiñ
kabhī tū bhī hamārī samt aatā
tirī jānib to ham aa.e hue haiñ
ḳhulūs-e-dil sahī terā tabassum
magar ham choT to khaa.e hue haiñ
na-jāne raat kaun aa.egā chhat par
sitāre shaam se aa.e hue haiñ
muqaddas ham sahīfe haiñ jo shāyad
hazāroñ baar jhuTlā.e hue haiñ
hamārā zikr ho to jaan liijo
tirī mahfil meñ ham aa.e hue haiñ
baḌe daanā haiñ jī dushman hamāre
magar zid par abhī aa.e hue haiñ
raqīboñ par bhī hai nazr-e-‘ināyat
karam ham par bhī farmā.e hue haiñ
hamārā ban ke tū bhī to rahā thā
tire ham bhī kabhī haa.e hue haiñ
sukūn-o-amn vaqtī hī rahā hai
musalsal ḳhauf ke saa.e hue haiñ
dimāġhī 'āriza lāhaq hai tum ko
ka.ī dil haiñ jo ghabrā.e hue haiñ
hameñ 'ārif' guloñ se nisbateñ thiiñ
magar kāñToñ meñ ginvā.e hue haiñ
kahun kis se ki dhundlae hue hain
jo manzar aankh par chhae hue hain
kinare se kinare tak hai wahshat
nadi ke rag ghabrae hue hain
kuchh aise KHwab jin se Dar raha hun
guzishta raat se aae hue hain
kabhi tu bhi hamari samt aata
teri jaanib to hum aae hue hain
KHulus-e-dil sahi tera tabassum
magar hum choT to khae hue hain
na-jaane raat kaun aaega chhat par
sitare sham se aae hue hain
muqaddas hum sahife hain jo shayad
hazaron bar jhuTlae hue hain
hamara zikr ho to jaan lijo
teri mahfil mein hum aae hue hain
baDe dana hain ji dushman hamare
magar zid par abhi aae hue hain
raqibon par bhi hai nazr-e-‘inayat
karam hum par bhi farmae hue hain
hamara ban ke tu bhi to raha tha
tere hum bhi kabhi hae hue hain
sukun-o-amn waqti hi raha hai
musalsal KHauf ke sae hue hain
dimaghi 'ariza lahaq hai tum ko
kai dil hain jo ghabrae hue hain
hamein 'arif' gulon se nisbaten thin
magar kanTon mein ginwae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.