kaif-o-masti ki faza chhai jo maiKHane mein thi
kaif-o-masti ki faza chhai jo maiKHane mein thi
Wajahat Ali Sandailvi
MORE BYWajahat Ali Sandailvi
kaif-o-mastī kī fazā chhā.ī jo maiḳhāne meñ thī
kyā ḳhatā apnī vahāñ pī kar bahak jaane meñ thī
mimbar-o-mehrāb par kab thī tajallī nuur kī
mah-vashoñ ke darmiyāñ miinā meñ maiḳhāne meñ thī
ilm-o-hikmat par bhī chhā.īñ jehl kī tārīkiyāñ
āgahī kī raushnī bas dil ke vīrāne meñ thī
apnī shartoñ par basar kī us ne apnī zindagī
ek shān-e-kibriyā.ī tere dīvāne meñ thī
bhūlnā ġham kā na thā maqsūd apnā jab talak
baat tab kuchh aur hī pī kar bahak jaane meñ thī
qaid meñ dīvāna thā āzadiyoñ ke darmiyāñ
ḳhud thā zindāñ meñ magar zanjīr vīrāne meñ thī
haath kyoñ baḌhtā kisī jām-e-masarrat ke liye
pī sake utnī bhī kab apne jo paimāne meñ thī
kaif-o-masti ki faza chhai jo maiKHane mein thi
kya KHata apni wahan pi kar bahak jaane mein thi
mimbar-o-mehrab par kab thi tajalli nur ki
mah-washon ke darmiyan mina mein maiKHane mein thi
ilm-o-hikmat par bhi chhain jehl ki tarikiyan
aagahi ki raushni bas dil ke virane mein thi
apni sharton par basar ki us ne apni zindagi
ek shan-e-kibriyai tere diwane mein thi
bhulna gham ka na tha maqsud apna jab talak
baat tab kuchh aur hi pi kar bahak jaane mein thi
qaid mein diwana tha aazadiyon ke darmiyan
KHud tha zindan mein magar zanjir virane mein thi
hath kyon baDhta kisi jam-e-masarrat ke liye
pi sake utni bhi kab apne jo paimane mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.