kaifiyat batlaun kya taswir ki
kaifiyat batlā.ūñ kyā tasvīr kī
ik ġhazal zinda ho jaise 'mīr' kī
kaun jaane kab badal degā ḳhudā
baat mat karte raho taqdīr kī
maañg kar tum ne duā.eñ kyā kiyā
yaar koshish to karo tadbīr kī
zindagī sadiyoñ nahīñ paatā koī
laakh le koī duā.eñ piir kī
taaj ko murda imārat mat kaho
ishq ne to aarzū ta.amīr kī
pyaar se duniyā yūñhī miltī rahe
kyā zarūrat tiir kī shamshīr kī
ḳhuun se ḳhat likh diyā 'dildār' ne
aur tārīfeñ huiiñ tahrīr kī
kaifiyat batlaun kya taswir ki
ek ghazal zinda ho jaise 'mir' ki
kaun jaane kab badal dega KHuda
baat mat karte raho taqdir ki
mang kar tum ne duaen kya kiya
yar koshish to karo tadbir ki
zindagi sadiyon nahin pata koi
lakh le koi duaen pir ki
taj ko murda imarat mat kaho
ishq ne to aarzu tamir ki
pyar se duniya yunhi milti rahe
kya zarurat tir ki shamshir ki
KHun se KHat likh diya 'dildar' ne
aur tarifen huin tahrir ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.