kaifiyat dil ki hiran jaisi bani rahti hai
kaifiyat dil ki hiran jaisi bani rahti hai
Dr. Bhawana Srivastava
MORE BYDr. Bhawana Srivastava
kaifiyat dil kī hiran jaisī banī rahtī hai
ek ḳhushbū mirī sāñsoñ meñ basī rahtī hai
jab bhī TuuTī hai mirī niiñd tire ḳhvāboñ se
mere chāroñ hī taraf raushnī sī rahtī hai
boltā rahtā hai yuuñ to vo musalsal phir bhī
us ke hoñToñ pe koī baat rukī rahtī hai
din guzar jaatā hai duniyāvī masā.il meñ magar
tere hone se mirī shaam mirī rahtī hai
aur to kuchh nahīñ hotā tire milne se magar
zindagī qābil-e-bardāsht banī rahtī hai
kaifiyat dil ki hiran jaisi bani rahti hai
ek KHushbu meri sanson mein basi rahti hai
jab bhi TuTi hai meri nind tere KHwabon se
mere chaaron hi taraf raushni si rahti hai
bolta rahta hai yun to wo musalsal phir bhi
us ke honTon pe koi baat ruki rahti hai
din guzar jata hai duniyawi masail mein magar
tere hone se meri sham meri rahti hai
aur to kuchh nahin hota tere milne se magar
zindagi qabil-e-bardasht bani rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.