kai aae adawat karne wale
ka.ī aa.e adāvat karne vaale
rahe baaqī mohabbat karne vaale
jiyāle kyoñ nazar aate nahīñ ab
añdheroñ se baġhāvat karne vaale
ujāle sab tire mamnūn hoñge
charāġhoñ kī hifāzat karne vaale
kisī din paḌh leñ fursat se umar ko
zamāne par hukūmat karne vaale
ḳhudā tujh ko sadā rakkhe salāmat
ġharīboñ kī himāyat karne vaale
zarā kirdār un sā bhī to apnā
buzurgoñ kī ziyārat karne vaale
ibādat kā yahī mausam hai 'afzal'
javānī vaqf-e-ishrat karne vaale
javānī husn-e-daulat aur shohrat
parinde haiñ ye hijrat karne vaale
raheñge surḳh-rū donoñ jahāñ meñ
mohammad kī itā.at karne vaale
kai aae adawat karne wale
rahe baqi mohabbat karne wale
jiyale kyon nazar aate nahin ab
andheron se baghawat karne wale
ujale sab tere mamnun honge
charaghon ki hifazat karne wale
kisi din paDh len fursat se umar ko
zamane par hukumat karne wale
KHuda tujh ko sada rakkhe salamat
gharibon ki himayat karne wale
zara kirdar un sa bhi to apna
buzurgon ki ziyarat karne wale
ibaadat ka yahi mausam hai 'afzal'
jawani waqf-e-ishrat karne wale
jawani husn-e-daulat aur shohrat
parinde hain ye hijrat karne wale
rahenge surKH-ru donon jahan mein
mohammad ki itaat karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.