kai chand rahe barson mujh mein meri lau maddham karne ke liye
kai chand rahe barson mujh mein meri lau maddham karne ke liye
Annkit Gautam
MORE BYAnnkit Gautam
ka.ī chāñd rahe barsoñ mujh meñ mirī lau maddham karne ke liye
ka.ī sūraj mujh meñ Duub ga.e mirā saayā kam karne ke liye
ik bahut purānā sādhū thā ik dukh ko vo nahīñ saadh sakā
vo tab se fine art meñ hai is dukh ko kam karne ke liye
kuchh peḌ mire bhī dushman haiñ jo havā.eñ bunte rahte haiñ
phir unheñ chalāte rahte haiñ mirī naak meñ dam karne ke liye
ham ne sab khoj nikālā thā dukh kyā thā ek nivāla thā
ab usī ko khāte rahte haiñ sab kuchh mub.ham karne ke liye
kai chand rahe barson mujh mein meri lau maddham karne ke liye
kai suraj mujh mein Dub gae mera saya kam karne ke liye
ek bahut purana sadhu tha ek dukh ko wo nahin sadh saka
wo tab se fine art mein hai is dukh ko kam karne ke liye
kuchh peD mere bhi dushman hain jo hawaen bunte rahte hain
phir unhen chalate rahte hain meri nak mein dam karne ke liye
hum ne sab khoj nikala tha dukh kya tha ek niwala tha
ab usi ko khate rahte hain sab kuchh mubham karne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.