kai dariya utar kar aa raha hun
ka.ī dariyā utar kar aa rahā huuñ
magar lagtā hai maiñ kitnā nayā huuñ
kisī ke roke se ruktā nahīñ huuñ
kabhī to lagtā hai maiñ hī ḳhudā huuñ
tū apnī baat puurī kar maiñ tab tak
adhūrā jaam puurā kar rahā huuñ
pahuñch kar rab talak mujh tak na pahuñchī
maiñ aise nā-tavāñ dil kī duā huuñ
yahāñ mere mutābiq ho rahā sab
maiñ hī dariyā kinārā nāḳhudā huuñ
isī baa.is mujhe hāsil hai manzil
safar meñ dam-ba-dam chaltā rahā huuñ
kharoñcheñ zaḳhm bantī jā rahīñ ab
maiñ pahle se hī 'sohil' adh-jalā huuñ
kai dariya utar kar aa raha hun
magar lagta hai main kitna naya hun
kisi ke roke se rukta nahin hun
kabhi to lagta hai main hi KHuda hun
tu apni baat puri kar main tab tak
adhura jam pura kar raha hun
pahunch kar rab talak mujh tak na pahunchi
main aise na-tawan dil ki dua hun
yahan mere mutabiq ho raha sab
main hi dariya kinara naKHuda hun
isi bais mujhe hasil hai manzil
safar mein dam-ba-dam chalta raha hun
kharonchen zaKHm banti ja rahin ab
main pahle se hi 'sohil' adh-jala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.