kai dinon ke liye be-qarar karte hue
ka.ī dinoñ ke liye be-qarār karte hue
guzar gayā koī āñkhoñ se pyaar karte hue
hiran kī aañkh meñ kyā jaane kaisā jaadū thā
ki haath kaañp rahe the shikār karte hue
vo us gaḌhe kī jo miTTī thī ab nahīñ miltī
ye baat soch le dariyā ko paar karte hue
zamīr maar diyā ḳhvāhishāt ne shāyad
zarā bhī sharm na aa.ī udhār karte hue
kisī ne fard-e-shab-e-hijr maañg lī mujh se
jhijak rahā thā maiñ aa.heñ shumār karte hue
kuchh apnī vā'da-ḳhilāfī kī intihā kiije
ki sharm aane lagī e'tibār karte hue
kai dinon ke liye be-qarar karte hue
guzar gaya koi aankhon se pyar karte hue
hiran ki aankh mein kya jaane kaisa jadu tha
ki hath kanp rahe the shikar karte hue
wo us gaDhe ki jo miTTi thi ab nahin milti
ye baat soch le dariya ko par karte hue
zamir mar diya KHwahishat ne shayad
zara bhi sharm na aai udhaar karte hue
kisi ne fard-e-shab-e-hijr mang li mujh se
jhijak raha tha main aahen shumar karte hue
kuchh apni wa'da-KHilafi ki intiha kije
ki sharm aane lagi e'tibar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.