kai dinon se jo zahrili chal rahi hai hawa
ka.ī dinoñ se jo zahrīlī chal rahī hai havā
na jaane kaun se āñgan meñ pal rahī hai havā
'ajīb lau kā hai māhaul jis taraf dekho
sulag rahā hai zamāna ki jal rahī hai havā
ham aap kā bhī badalnā bahut zarūrī hai
badal rahī hai ye duniyā badal rahī hai havā
ye kis kī zulf se Takrā rahī hai peshānī
jo kuchh dinoñ se bahut phūl-phal rahī hai havā
bujhā na paa.ī mire ek bhī charāġh ko 'nūr'
ye aur baat muḳhālif meñ chal rahī hai havā
kai dinon se jo zahrili chal rahi hai hawa
na jaane kaun se aangan mein pal rahi hai hawa
'ajib lau ka hai mahaul jis taraf dekho
sulag raha hai zamana ki jal rahi hai hawa
hum aap ka bhi badalna bahut zaruri hai
badal rahi hai ye duniya badal rahi hai hawa
ye kis ki zulf se Takra rahi hai peshani
jo kuchh dinon se bahut phul-phal rahi hai hawa
bujha na pai mere ek bhi charagh ko 'nur'
ye aur baat muKHalif mein chal rahi hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.