kai KHush-nam KHush-andam chehre bujh gae hain
ka.ī ḳhush-nām ḳhush-andām chehre bujh ga.e haiñ
gulābī sardiyoñ meñ sabz paude bujh ga.e haiñ
hamārī aañkh mehr-o-māh par rahne lagī hai
hamāre gird kitne hī ujāle bujh ga.e haiñ
natā.ej se unheñ vāqif kiyā hai sab ne phir bhī
na uḌne kī ijāzat se parinde bujh ga.e haiñ
kahāñ niklā hai koī jahl ke andhe kueñ se
kitāboñ ke buland-āhang dā've bujh ga.e haiñ
'humairā' koī bhī vāpas nahīñ aayā abhī tak
gharoñ meñ muntazir maaoñ ke lahje bujh ga.e haiñ
kai KHush-nam KHush-andam chehre bujh gae hain
gulabi sardiyon mein sabz paude bujh gae hain
hamari aankh mehr-o-mah par rahne lagi hai
hamare gird kitne hi ujale bujh gae hain
nataej se unhen waqif kiya hai sab ne phir bhi
na uDne ki ijazat se parinde bujh gae hain
kahan nikla hai koi jahl ke andhe kuen se
kitabon ke buland-ahang da'we bujh gae hain
'humaira' koi bhi wapas nahin aaya abhi tak
gharon mein muntazir maon ke lahje bujh gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.