kai nadiyan mujh mein bah niklin meri miTTi nam karne ke liye
ka.ī nadiyāñ mujh meñ bah niklīñ mirī miTTī nam karne ke liye
ka.ī sūraj mujh meñ Duub ga.e mirā saayā kam karne ke liye
duniyā ke manāzir zahr-bujhe sab maiñ ne basā.e āñkhoñ meñ
mirī ek nazar hī kaafī hai tiryāq ko sam karne ke liye
ik ik lahza sau saal kā thā ujlat meñ na pūchh sakhī qissa
ye vasl kā kāġhaz kaafī nahī vo hijr raqam karne ke liye
kyā jaane kitne jism havas kī aag jale tab ishq milā
kyā jaane kitne dasht ujḌe ta.amīr-e-iram karne ke liye
ik ḳhvāb hamārī āñkhoñ meñ hai raqs-kunāñ suufī jaisā
hasrat se junūñ ko taktā hai sargam maddham karne ke liye
kai nadiyan mujh mein bah niklin meri miTTi nam karne ke liye
kai suraj mujh mein Dub gae mera saya kam karne ke liye
duniya ke manazir zahr-bujhe sab main ne basae aankhon mein
meri ek nazar hi kafi hai tiryaq ko sam karne ke liye
ek ek lahza sau sal ka tha ujlat mein na puchh sakhi qissa
ye wasl ka kaghaz kafi nahi wo hijr raqam karne ke liye
kya jaane kitne jism hawas ki aag jale tab ishq mila
kya jaane kitne dasht ujDe tamir-e-iram karne ke liye
ek KHwab hamari aankhon mein hai raqs-kunan sufi jaisa
hasrat se junun ko takta hai sargam maddham karne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.