kai paDe hain farebi hisar shishe mein
ka.ī paḌe haiñ farebī hisār shīshe meñ
uThā ke sang-e-girāñ koī maar shīshe meñ
jahān-e-tāza kī tasḳhīr baad meñ karnā
tū apne dil ko to pahle utaar shīshe meñ
ye kis kā aks farozāñ hai bar dil-e-darvesh
dhamāl karne lagī hai bahār shīshe meñ
kabhī to aa dil-e-majzūb kī tasallī ko
mazīd baḌhne lagā intizār shīshe meñ
tū ḳhud ko khoj zarā aur aa.ine meñ dekh
paḌe haiñ aib tire be-shumār shīshe meñ
agarche pusht kiye baiThā thā mirī jānib
vo dekhtā thā mujhe baar baar shīshe meñ
purāne ḳhāl-o-ḳhad apne nikhārte hue vo
hazār baar huā ashk-bār shīshe meñ
sañvar rahā thā muqābil the aa.ine aur maiñ
mujhe bhī us ne kiyā thā shumār shīshe meñ
bas ek shaḳhs hai 'ahmad' jo mujh ko jāntā hai
maiñ dekhtā huuñ use ġham-gusār shīshe meñ
kai paDe hain farebi hisar shishe mein
uTha ke sang-e-giran koi mar shishe mein
jahan-e-taza ki tasKHir baad mein karna
tu apne dil ko to pahle utar shishe mein
ye kis ka aks farozan hai bar dil-e-darwesh
dhamal karne lagi hai bahaar shishe mein
kabhi to aa dil-e-majzub ki tasalli ko
mazid baDhne laga intizar shishe mein
tu KHud ko khoj zara aur aaine mein dekh
paDe hain aib tere be-shumar shishe mein
agarche pusht kiye baiTha tha meri jaanib
wo dekhta tha mujhe bar bar shishe mein
purane KHal-o-KHad apne nikhaarte hue wo
hazar bar hua ashk-bar shishe mein
sanwar raha tha muqabil the aaine aur main
mujhe bhi us ne kiya tha shumar shishe mein
bas ek shaKHs hai 'ahmad' jo mujh ko jaanta hai
main dekhta hun use gham-gusar shishe mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.