kai raaz dil mein chhupae hue hain
ka.ī raaz dil meñ chhupā.e hue haiñ
na dekho hameñ ham jalā.e hue haiñ
yuuñ patthar se pukhrāj hone ko haiñ ham
ki sadiyoñ se ham to dabā.e hue haiñ
hameñ khul ke hañsne do ai duniyā vaalo
ki barsoñ ke ham to rulā.e hue haiñ
ye sailāb hai par ye paanī nahīñ hai
ye aañsū hamāre bahā.e hue haiñ
'azāb aise aise batā.eñ tumheñ kyā
hameñ kyā ḳhabar kis ke laa.e hue haiñ
bas ik saañs thī vo bhī chaltī nahīñ hai
vo jis din se ham se parā.e hue haiñ
na DhūñDo hameñ tum kitāboñ meñ 'shāhid'
vo alfāz haiñ jo miTā.e hue haiñ
kai raaz dil mein chhupae hue hain
na dekho hamein hum jalae hue hain
yun patthar se pukhraj hone ko hain hum
ki sadiyon se hum to dabae hue hain
hamein khul ke hansne do ai duniya walo
ki barson ke hum to rulae hue hain
ye sailab hai par ye pani nahin hai
ye aansu hamare bahae hue hain
'azab aise aise bataen tumhein kya
hamein kya KHabar kis ke lae hue hain
bas ek sans thi wo bhi chalti nahin hai
wo jis din se hum se parae hue hain
na DhunDo hamein tum kitabon mein 'shahid'
wo alfaz hain jo miTae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.