kai samton mein chalta ja raha hun
ka.ī samtoñ meñ chaltā jā rahā huuñ
ki chashma huuñ ubaltā jā rahā huuñ
ka.ī lahreñ uThātā jā rahā huuñ
ka.ī jauhar ugaltā jā rahā huuñ
isī paanī se maiñ zāhir huā thā
isī paanī meñ Daltā jā rahā huuñ
rukūñgā kyā hathelī par kisī kī
ki motī huuñ phisaltā jā rahā huuñ
baḌī mushkil se jo hāsil huī thī
vahī rangat badaltā jā rahā huuñ
koī pahuñchā rahā hai merā hissa
maiñ patthar meñ huuñ paltā jā rahā huuñ
samar bār-āvarī kā merā mausam
musalsal hai so phaltā jā rahā huuñ
jazīre haiñ ubharte jā rahe haiñ
samundar huuñ nigaltā jā rahā huuñ
du'ā huuñ jo laboñ par aa ga.ī hai
koī tūfāñ huuñ Taltā jā rahā huuñ
kai samton mein chalta ja raha hun
ki chashma hun ubalta ja raha hun
kai lahren uThata ja raha hun
kai jauhar ugalta ja raha hun
isi pani se main zahir hua tha
isi pani mein Dalta ja raha hun
rukunga kya hatheli par kisi ki
ki moti hun phisalta ja raha hun
baDi mushkil se jo hasil hui thi
wahi rangat badalta ja raha hun
koi pahuncha raha hai mera hissa
main patthar mein hun palta ja raha hun
samar bar-awari ka mera mausam
musalsal hai so phalta ja raha hun
jazire hain ubharte ja rahe hain
samundar hun nigalta ja raha hun
du'a hun jo labon par aa gai hai
koi tufan hun Talta ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.