kai sarab mile tishnagi ke raste mein
ka.ī sarāb mile tishnagī ke raste meñ
rukāvaTeñ haiñ bahut raushnī ke raste meñ
hamārā aap kā sar phoḌnā muqaddar hai
sanam khaḌe haiñ abhī aadmī ke raste meñ
hai us kā saath to lab par yahī duā hai ki phir
na aa.e aur koī zindagī ke raste meñ
vahāñ milā bhī to apnā hī āshnā sā ye
khaḌe the der se ham raushnī ke raste meñ
na.ī hai fikr magar lafz to purāne haiñ
qadāmateñ haiñ vahīñ tāzgī ke raste meñ
kai sarab mile tishnagi ke raste mein
rukawaTen hain bahut raushni ke raste mein
hamara aap ka sar phoDna muqaddar hai
sanam khaDe hain abhi aadmi ke raste mein
hai us ka sath to lab par yahi dua hai ki phir
na aae aur koi zindagi ke raste mein
wahan mila bhi to apna hi aashna sa ye
khaDe the der se hum raushni ke raste mein
nai hai fikr magar lafz to purane hain
qadamaten hain wahin tazgi ke raste mein
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.