kai tufan dil-o-zehn mein pale hue hain
kai tufan dil-o-zehn mein pale hue hain
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
ka.ī tūfān dil-o-zehn meñ paale hue haiñ
aur aise meñ bhī ham ḳhud ko sañbhāle hue haiñ
mushkiloñ ne hī jagā.ī hai lalak jiine kī
yuuñ samajhiye ki añdheroñ se ujāle hue haiñ
maiñ tirī āñkhoñ ke sab jhuuT pakaḌ saktā huuñ
ye mahalle mire achchhe se khañgāle hue haiñ
kuchh dinoñ se nahīñ aa.ī hai mire āñgan meñ
dhuup ke paañv meñ lagtā hai ki chhāle hue haiñ
ab jahāñ chāhe hameñ dar-badarī le jaa.e
ham vo panchhī haiñ jo piñjre se nikāle hue haiñ
kai tufan dil-o-zehn mein pale hue hain
aur aise mein bhi hum KHud ko sanbhaale hue hain
mushkilon ne hi jagai hai lalak jine ki
yun samajhiye ki andheron se ujale hue hain
main teri aankhon ke sab jhuT pakaD sakta hun
ye mahalle mere achchhe se khangale hue hain
kuchh dinon se nahin aai hai mere aangan mein
dhup ke panw mein lagta hai ki chhaale hue hain
ab jahan chahe hamein dar-badari le jae
hum wo panchhi hain jo pinjre se nikale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.