kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha
kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha
Jaleel Haider Lashari
MORE BYJaleel Haider Lashari
ka.ī zamānoñ se mujh meñ jo dard bikhrā thā
zarā sī umr meñ us ne kahāñ simaTnā thā
nahīñ gila jo mujhe mil gayā hai ġham itnā
kabhī kisī ne to āḳhir ye dard sahnā thā
lage the kāñpne jallād ke jo dast o pā
ajal se mil ke gale koī muskurāyā thā
ḳhirāj detā chalā aa rahā huuñ nasloñ se
ye kis ġhanīm ke hāthoñ meñ itnā haarā thā
maiñ kab kā TuuT ke 'haidar' bikhar gayā hotā
ḳhudā kā shukr tire dard kā sahārā thā
kai zamanon se mujh mein jo dard bikhra tha
zara si umr mein us ne kahan simaTna tha
nahin gila jo mujhe mil gaya hai gham itna
kabhi kisi ne to aaKHir ye dard sahna tha
lage the kanpne jallad ke jo dast o pa
ajal se mil ke gale koi muskuraya tha
KHiraj deta chala aa raha hun naslon se
ye kis ghanim ke hathon mein itna haara tha
main kab ka TuT ke 'haidar' bikhar gaya hota
KHuda ka shukr tere dard ka sahaara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.