kaisa girya kahan ka roe the
kaisā girya kahāñ kā ro.e the
ġham ne ashkoñ ke paañv dho.e the
ham ḳharābāt-e-shahr-e-ḳhāk-nasīb
arsa-e-vasl meñ bhī so.e the
us gul-e-ġhaib kī tamanna se
ham ne sīnoñ ke daaġh dho.e the
bād-e-sarsar uḌaa.e phirtī hai
kis bahār-āfrīñ meñ kho.e the
lahlahātī hai fasl-e-chashm vahāñ
dāna-e-dil jahāñ pe bo.e the
kaisa girya kahan ka roe the
gham ne ashkon ke panw dhoe the
hum KHarabaat-e-shahr-e-KHak-nasib
arsa-e-wasl mein bhi soe the
us gul-e-ghaib ki tamanna se
hum ne sinon ke dagh dhoe the
baad-e-sarsar uDae phirti hai
kis bahaar-afrin mein khoe the
lahlahati hai fasl-e-chashm wahan
dana-e-dil jahan pe boe the
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 85)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.