kaisa hai mera aks nahin dekhna mujhe
kaisā hai merā aks nahīñ dekhnā mujhe
lagtī hai merī zaat hī ḳhud ā.īna mujhe
apnā hī ban sakā na kisī kā maiñ ho sakā
ḳhud-āgahī ke zo.am ne dhokā diyā mujhe
mil kar maiñ us se ā.ina-ḳhāne meñ jab gayā
hairat se tak rahā thā har ik aa.ina mujhe
dair-o-haram kī raah farāmosh ho ga.ī
terī talāsh ne ye kahāñ gum kiyā mujhe
ab kosnā abas hai 'zafar' kaalī raat ko
sūraj kī raushnī ne bhī andhā kiyā mujhe
kaisa hai mera aks nahin dekhna mujhe
lagti hai meri zat hi KHud aaina mujhe
apna hi ban saka na kisi ka main ho saka
KHud-agahi ke zoam ne dhoka diya mujhe
mil kar main us se aaina-KHane mein jab gaya
hairat se tak raha tha har ek aaina mujhe
dair-o-haram ki rah faramosh ho gai
teri talash ne ye kahan gum kiya mujhe
ab kosna abas hai 'zafar' kali raat ko
suraj ki raushni ne bhi andha kiya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.