kaisa hai zamane ka chalan dekh zara dekh
kaisā hai zamāne kā chalan dekh zarā dekh
yāroñ ke hai māthe pe shikan dekh zarā dekh
parde kī haqīqat se hue duur musalmāñ
poshāk meñ bhī nange badan dekh zarā dekh
aulād kī ḳhātir sabhī maañ baap yahāñ par
kyā kyā nahīñ karte haiñ jatan dekh zarā dekh
ghar baar kī fikreñ ab unheñ rauñd rahī haiñ
jo log the sarmāya-e-fan dekh zarā dekh
jo ahl thā mahrūm rahā daad se lekin
kis ko hai milī dād-e-suḳhan dekh zarā dekh
jiddat kahe jaatā hai tū gumrāhī ko paiham
apnā bhī to andāz-e-suḳhan dekh zarā dekh
ye ratjage āñkhoñ ko bhī vīrān na kar deñ
'anjum' mirī āñkhoñ meñ thakan dekh zarā dekh
kaisa hai zamane ka chalan dekh zara dekh
yaron ke hai mathe pe shikan dekh zara dekh
parde ki haqiqat se hue dur musalman
poshak mein bhi nange badan dekh zara dekh
aulad ki KHatir sabhi man bap yahan par
kya kya nahin karte hain jatan dekh zara dekh
ghar bar ki fikren ab unhen raund rahi hain
jo log the sarmaya-e-fan dekh zara dekh
jo ahl tha mahrum raha dad se lekin
kis ko hai mili dad-e-suKHan dekh zara dekh
jiddat kahe jata hai tu gumrahi ko paiham
apna bhi to andaz-e-suKHan dekh zara dekh
ye ratjage aankhon ko bhi viran na kar den
'anjum' meri aankhon mein thakan dekh zara dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.