kaisa jadu kaisa fitna dhyan mein rakkha gaya
kaisā jaadū kaisā fitna dhyān meñ rakkhā gayā
dil meñ kyā aayā ki dil insān meñ rakkhā gayā
bāvajūd is ke ki kuchh le kar nahīñ jā.ūñgā maiñ
jaane kyā kyā kuchh mire sāmān meñ rakhā gayā
so sarāboñ kā bharam rakhne kī ḳhātir yuuñ huā
ek naḳhlistān registān meñ rakkhā gayā
rāt-bhar jab royā panchhī kaalī chhat ko dekh kar
ek niilā āsmāñ zindān meñ rakkhā gayā
ḳhālī kamre aur bhī chhoTe nazar aane lage
jaise hī har chiiz ko dālān meñ rakkhā gayā
jo nahīñ thā kaam kā vo ghar meñ hī rakhnā paḌā
kaam ke sāmān ko dūkān meñ rakkhā gayā
naam sunte hī kisī kā muskurā detā thā vo
zikr merā bhī usī muskān meñ rakkhā gayā
fā.eda hote hī chal detā maiñ aisā thā nahīñ
phir bhī jaane kyoñ mujhe nuqsān meñ rakkhā gayā
us se thī ummīd sochegā mire baare meñ bhī
so usī kī shartoñ ko paimān meñ rakkhā gayā
kaisa jadu kaisa fitna dhyan mein rakkha gaya
dil mein kya aaya ki dil insan mein rakkha gaya
bawajud is ke ki kuchh le kar nahin jaunga main
jaane kya kya kuchh mere saman mein rakha gaya
so sarabon ka bharam rakhne ki KHatir yun hua
ek naKHlistan registan mein rakkha gaya
raat-bhar jab roya panchhi kali chhat ko dekh kar
ek nila aasman zindan mein rakkha gaya
KHali kamre aur bhi chhoTe nazar aane lage
jaise hi har chiz ko dalan mein rakkha gaya
jo nahin tha kaam ka wo ghar mein hi rakhna paDa
kaam ke saman ko dukan mein rakkha gaya
nam sunte hi kisi ka muskura deta tha wo
zikr mera bhi usi muskan mein rakkha gaya
faeda hote hi chal deta main aisa tha nahin
phir bhi jaane kyon mujhe nuqsan mein rakkha gaya
us se thi ummid sochega mere bare mein bhi
so usi ki sharton ko paiman mein rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.