kaisa jashn-e-bahaar hai apna
kaisā jashn-e-bahār hai apnā
gul pe saaya bhī baar hai apnā
siskiyāñ le rahī hai shām-e-firāq
phir mujhe intizār hai apnā
ishq kā raag kis ne chheḌ diyā
har nafas sho.ala-bār hai apnā
kyā gila terī kam-nigāhī se
kab hameñ e'tibār hai apnā
nīchī nazroñ se pūchh mat ahvāl
zabt-e-ġham hī shi.ār hai apnā
kyā huā zindagī na raas aa.ī
maut par e'tibār hai apnā
qais ko log jab se bhuul ga.e
pairahan taar taar hai apnā
kaisa jashn-e-bahaar hai apna
gul pe saya bhi bar hai apna
siskiyan le rahi hai sham-e-firaq
phir mujhe intizar hai apna
ishq ka rag kis ne chheD diya
har nafas shoala-bar hai apna
kya gila teri kam-nigahi se
kab hamein e'tibar hai apna
nichi nazron se puchh mat ahwal
zabt-e-gham hi shiar hai apna
kya hua zindagi na ras aai
maut par e'tibar hai apna
qais ko log jab se bhul gae
pairahan tar tar hai apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.