kaisa pyara shaKHs tha aur main KHwab mein rakh kar bhul gai
kaisa pyara shaKHs tha aur main KHwab mein rakh kar bhul gai
Samina Saqib
MORE BYSamina Saqib
kaisā pyārā shaḳhs thā aur maiñ ḳhvāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
jaise kāġhaz kī kashtī girdāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
raushan raushan motī jaisā saaf sajīlā paanī thā
jaane kaun thī chāñd ko jo tālāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
jab bhī us pe khulnā chāhā gaal hayā se laal hue
us ko paane kī ḳhvāhish ādāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
soch ke dhāge se bun kar kuchh sapne pheñke kāġhaz par
kyā karnā us ḳhvāb kā jo a.asāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
sub.h savere maañ ne pukārā bhāgī bhāgī ghar pahuñchī
ik juutā thā pair meñ duujā ḳhvāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
bah gayā hogā paanī meñ ab jhiil meñ us ko DhūñDūñgī
ik chehra jo ashkoñ ke sailāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
us se milne jaanā thā maiñ pul ke raste mil aa.ī
kachchā sohnī terā ghaḌā maiñ chanāb meñ rakh kar bhuul ga.ī
kaisa pyara shaKHs tha aur main KHwab mein rakh kar bhul gai
jaise kaghaz ki kashti girdab mein rakh kar bhul gai
raushan raushan moti jaisa saf sajila pani tha
jaane kaun thi chand ko jo talab mein rakh kar bhul gai
jab bhi us pe khulna chaha gal haya se lal hue
us ko pane ki KHwahish aadab mein rakh kar bhul gai
soch ke dhage se bun kar kuchh sapne phenke kaghaz par
kya karna us KHwab ka jo aasab mein rakh kar bhul gai
subh sawere man ne pukara bhagi bhagi ghar pahunchi
ek juta tha pair mein duja KHwab mein rakh kar bhul gai
bah gaya hoga pani mein ab jhil mein us ko DhunDungi
ek chehra jo ashkon ke sailab mein rakh kar bhul gai
us se milne jaana tha main pul ke raste mil aai
kachcha sohni tera ghaDa main chanab mein rakh kar bhul gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.