kaisa wo mausam tha ye to samajh na pae hum
kaisa wo mausam tha ye to samajh na pae hum
Chandra Parkash Shad
MORE BYChandra Parkash Shad
kaisā vo mausam thā ye to samajh na paa.e ham
shāḳh se jaise phal TuuTe kuchh yuuñ lahrā.e ham
barsoñ se ik aahaT par the kaan lagā.e ham
aaj is moḌ pe aap hī apne sāmne aa.e ham
ham se bichhaḌ kar tū ne ham ko kaisā diyā hai shaap
ā.īne meñ apnī sūrat dekh na paa.e ham
peḌoñ kā dhan luuT chuke haiñ lūTne vaale log
jism pe mal kar baiThe haiñ peḌoñ ke saa.e ham
sūraj nigleñ chāñdnī ugaleñ shāyad mumkin thā
lekin apnī is ummīd ke kaam na aa.e ham
parbat ho yā peḌ ghanā ho yā koī dīvār
terī yaad liye phirte haiñ saa.e saa.e ham
gum hotī sī lagtī hai is ghar kī har ik chiiz
aa.e haiñ bāzār se kaise thake-thakā.e ham
ab ye terī apnī ḳhushī hai jo tujh ko raas aa.e
ham aa.e to saath apne sab mausam laa.e ham
kaun kisī kā hotā hai ye jānte haiñ ham bhī
phir bhī sab se milte haiñ ye baat bhulā.e ham
aañkh khulī to sannāTe kī kokh meñ the be-sudh
koī ajab āvāz thī jis par uḌte aa.e ham
dhartī par rakh deñ to dhartī ke TukḌe ho jaa.eñ
sabr o ġham kā patthar haiñ siine se lagā.e ham
lamha lamha TuuT rahā hai kis kī Thokar se
dekhte dekhte ujaḌ rahe haiñ base-basā.e ham
kis kā chehra ubhar rahā hai dil ke mashriq se
dishā dishā meñ ghuum rahe haiñ haath baḌhā.e ham
gaah koī chaTTān jahāñ par vaqt kī chaap thame
gaah bane bahtā huā pal aur haath na aa.e ham
kaisa wo mausam tha ye to samajh na pae hum
shaKH se jaise phal TuTe kuchh yun lahrae hum
barson se ek aahaT par the kan lagae hum
aaj is moD pe aap hi apne samne aae hum
hum se bichhaD kar tu ne hum ko kaisa diya hai shap
aaine mein apni surat dekh na pae hum
peDon ka dhan luT chuke hain luTne wale log
jism pe mal kar baiThe hain peDon ke sae hum
suraj niglen chandni ugalen shayad mumkin tha
lekin apni is ummid ke kaam na aae hum
parbat ho ya peD ghana ho ya koi diwar
teri yaad liye phirte hain sae sae hum
gum hoti si lagti hai is ghar ki har ek chiz
aae hain bazar se kaise thake-thakae hum
ab ye teri apni KHushi hai jo tujh ko ras aae
hum aae to sath apne sab mausam lae hum
kaun kisi ka hota hai ye jaante hain hum bhi
phir bhi sab se milte hain ye baat bhulae hum
aankh khuli to sannaTe ki kokh mein the be-sudh
koi ajab aawaz thi jis par uDte aae hum
dharti par rakh den to dharti ke TukDe ho jaen
sabr o gham ka patthar hain sine se lagae hum
lamha lamha TuT raha hai kis ki Thokar se
dekhte dekhte ujaD rahe hain base-basae hum
kis ka chehra ubhar raha hai dil ke mashriq se
disha disha mein ghum rahe hain hath baDhae hum
gah koi chaTTan jahan par waqt ki chap thame
gah bane bahta hua pal aur hath na aae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.