kaise aankhon mein koi KHwab sunahra pale
kaise āñkhoñ meñ koī ḳhvāb sunahrā paale
pūchh us se jo bhare ghar ko akelā paale
ek hī jast meñ us paar na ho jā.ūñ agar
kahnā duniyā se mire naam kā kuttā paale
tū mirī vaz' nahīñ merī taraf dekh baġhaur
maiñ vo sahrā huuñ ki jis ne ka.ī dariyā paale
kār-e-maqsūm bahar-taur yahī lagtā hai
tifl-e-muflis na pasandīda khilaunā pā le
ġham-e-‘uqbā ġham-e-jānāñ ġham-e-duniyā-dārī
is qadar rog koī kaise ḳhudāyā paale
maiñ samajhtā huuñ suḳhanvar ko yahī zebā hai
dard bhī apne sahe zaḳhm bhī apnā paale
'ain mumkin hai kisī roz 'alī-tāsif' bhī
nāgahāñ ḳhud ko sar-e-rāh dobārā pā le
kaise aankhon mein koi KHwab sunahra pale
puchh us se jo bhare ghar ko akela pale
ek hi jast mein us par na ho jaun agar
kahna duniya se mere nam ka kutta pale
tu meri waz' nahin meri taraf dekh baghaur
main wo sahra hun ki jis ne kai dariya pale
kar-e-maqsum bahar-taur yahi lagta hai
tifl-e-muflis na pasandida khilauna pa le
gham-e-‘uqba gham-e-jaanan gham-e-duniya-dari
is qadar rog koi kaise KHudaya pale
main samajhta hun suKHanwar ko yahi zeba hai
dard bhi apne sahe zaKHm bhi apna pale
'ain mumkin hai kisi roz 'ali-tasif' bhi
nagahan KHud ko sar-e-rah dobara pa le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.