kaise bach paoge haalat se aage ja kar
kaise bach pāoge hālāt se aage jā kar
dhuup niklegī bahut raat se aage jā kar
ye samundar nahīñ bahte kisī dariyā kī tarah
ye safar meñ haiñ buḳhārāt se aage jā kar
besh-qīmat hai yahī husn zamīñ kā merī
kachchī bastī hai mahallāt se aage jā kar
ik jahāñ aur hai ābād khule manzar meñ
jab bhī dekhoge kabhī zaat se aage jā kar
bas yahī soch ke raste meñ use chhoḌ diyā
tang hogā mirī ādāt se aage jā kar
ishq meñ mujh se savālāt na pūchho itne
ranj baḌhtā hai javābāt se aage jā kar
shahr se duur ḳharīdūñgā koī ghar 'ātir'
garche jangal hai mazāfāt se aage jā kar
kaise bach paoge haalat se aage ja kar
dhup niklegi bahut raat se aage ja kar
ye samundar nahin bahte kisi dariya ki tarah
ye safar mein hain buKHaraat se aage ja kar
besh-qimat hai yahi husn zamin ka meri
kachchi basti hai mahallat se aage ja kar
ek jahan aur hai aabaad khule manzar mein
jab bhi dekhoge kabhi zat se aage ja kar
bas yahi soch ke raste mein use chhoD diya
tang hoga meri aadat se aage ja kar
ishq mein mujh se sawalat na puchho itne
ranj baDhta hai jawabaat se aage ja kar
shahr se dur KHaridunga koi ghar 'atir'
garche jangal hai mazafat se aage ja kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.