kaise bhulaun us gul-e-rangin-ada ko main
kaise bhulā.ūñ us gul-e-rangīñ-adā ko maiñ
kab tak fareb duuñ dil-e-dard-āshnā ko maiñ
hasrat ko aarzū ko tire mudda'ā ko maiñ
ai dil samajh rahā huuñ tirī har adā ko maiñ
tum chhupnā chāhte ho to chhup jaao shauq se
lo haath uThā rahā huuñ bazāhir du'ā ko maiñ
ai zindagī na jā ye tamāsha bhī dekh le
tere liye gale se lagā luuñ qazā ko maiñ
dil merā us kī jalva-gah-e-nāz hai magar
dair-o-haram meñ DhūñD rahā huuñ ḳhudā ko maiñ
baḳhshā hai jis kī yaad ne mujh ko shu’ūr-e-ġham
ilzām de rahā huuñ usī pārsā ko maiñ
har samt jis se giit baraste hoñ pyaar ke
'afgan' kahāñ se lā.ūñgā aisī fazā ko maiñ
kaise bhulaun us gul-e-rangin-ada ko main
kab tak fareb dun dil-e-dard-ashna ko main
hasrat ko aarzu ko tere mudda'a ko main
ai dil samajh raha hun teri har ada ko main
tum chhupna chahte ho to chhup jao shauq se
lo hath uTha raha hun bazahir du'a ko main
ai zindagi na ja ye tamasha bhi dekh le
tere liye gale se laga lun qaza ko main
dil mera us ki jalwa-gah-e-naz hai magar
dair-o-haram mein DhunD raha hun KHuda ko main
baKHsha hai jis ki yaad ne mujh ko shu’ur-e-gham
ilzam de raha hun usi parsa ko main
har samt jis se git baraste hon pyar ke
'afgan' kahan se launga aisi faza ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.