kaise dil ka kaha bataen hum
kaise dil kā kahā batā.eñ ham
raaz kī baat kyā batā.eñ ham
tum ne pūchhā bhī to nahīñ ham se
jo tumheñ mas.ala batā.eñ ham
aaj insān sochtā hai ye
kaise ḳhud ko ḳhudā batā.eñ ham
ġhalatiyāñ ham ne bhī bahut kī haiñ
kis ko kis kī ḳhatā batā.eñ ham
ham ne bhī kaun sī vafā kī hai
kyoñ use bevafā batā.eñ ham
ḳhuun kā yā mohabbatoñ vaalā
kis kā rishta baḌā batā.eñ ham
bhuul kar bhī na dil lagāoge
āshiqī kī sazā batā.eñ ham
kaun aisā hai is zamāne meñ
jis ko ham se burā batā.eñ ham
jānvar se burā hai mat pūchho
haal insāñ kā kyā batā.eñ ham
kaise dil ka kaha bataen hum
raaz ki baat kya bataen hum
tum ne puchha bhi to nahin hum se
jo tumhein masala bataen hum
aaj insan sochta hai ye
kaise KHud ko KHuda bataen hum
ghalatiyan hum ne bhi bahut ki hain
kis ko kis ki KHata bataen hum
hum ne bhi kaun si wafa ki hai
kyon use bewafa bataen hum
KHun ka ya mohabbaton wala
kis ka rishta baDa bataen hum
bhul kar bhi na dil lagaoge
aashiqi ki saza bataen hum
kaun aisa hai is zamane mein
jis ko hum se bura bataen hum
jaanwar se bura hai mat puchho
haal insan ka kya bataen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.