kaise in aankhon se dekhun mah-e-kaamil ki taraf
kaise in āñkhoñ se dekhūñ māh-e-kāmil kī taraf
maiñ ne dekhā hai jamāl-e-raunaq-e-dil kī taraf
dekh letā sirf apne ḳhāna-e-dil kī taraf
yūñhī maa.il ho gayā thā qais mahmil kī taraf
maiñ to mahv-e-be-ḳhudī thā mujh ko kyā ma.alūm hai
laayā hai merā junūñ kyoñ terī mahfil kī taraf
Dūbne vaale kī hasrat kā ye aalam dekhiye
phir nigāh-e-yās pahuñchī ahl-e-sāhil kī taraf
aaj bīmār-e-alam duniyā se yuuñ ruḳhsat huā
dam laboñ par thā magar āñkheñ thiiñ qātil kī taraf
tujh ko is rangīñ-nigāh-e-hashr-sāmāñ kī qasam
ik nigāh-e-lutf-parvar bhī mire dil kī taraf
le chalī be-tābī-e-dil aaj 'jauhar' khīñch kar
us but-e-rangīñ-nazar zohra shamā.il kī taraf
kaise in aankhon se dekhun mah-e-kaamil ki taraf
main ne dekha hai jamal-e-raunaq-e-dil ki taraf
dekh leta sirf apne KHana-e-dil ki taraf
yunhi mail ho gaya tha qais mahmil ki taraf
main to mahw-e-be-KHudi tha mujh ko kya malum hai
laya hai mera junun kyon teri mahfil ki taraf
Dubne wale ki hasrat ka ye aalam dekhiye
phir nigah-e-yas pahunchi ahl-e-sahil ki taraf
aaj bimar-e-alam duniya se yun ruKHsat hua
dam labon par tha magar aankhen thin qatil ki taraf
tujh ko is rangin-nigah-e-hashr-saman ki qasam
ek nigah-e-lutf-parwar bhi mere dil ki taraf
le chali be-tabi-e-dil aaj 'jauhar' khinch kar
us but-e-rangin-nazar zohra shamail ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.