kaise jaanega wo mere ghar ka rasta
kaise jānegā vo mere ghar kā rastā
tum batā aa.e use sāġhar kā rastā
shaam hone par bulāyā thā kisī ne
bhuul jaate ho usī dilbar kā rastā
aur kyā kahne ko baaqī rah gayā hai
tum dikhā kar chal diye bāhar kā rastā
aap se saarā jahāñ jaltā hai jānāñ
aap to bas DhūñDhiye ambar kā rastā
āshiqoñ se ranjisheñ baḌhne lagīñ haiñ
is liye bhī Thiik hai daftar kā rastā
kaise jaanega wo mere ghar ka rasta
tum bata aae use saghar ka rasta
sham hone par bulaya tha kisi ne
bhul jate ho usi dilbar ka rasta
aur kya kahne ko baqi rah gaya hai
tum dikha kar chal diye bahar ka rasta
aap se sara jahan jalta hai jaanan
aap to bas DhunDhiye ambar ka rasta
aashiqon se ranjishen baDhne lagin hain
is liye bhi Thik hai daftar ka rasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.