Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise jhelen azab KHatra hai

Asim Ejaz

kaise jhelen azab KHatra hai

Asim Ejaz

MORE BYAsim Ejaz

    kaise jheleñ azaab ḳhatra hai

    aap haiñ be-naqāb ḳhatra hai

    apnī dahlīz tak raheñ sāhib

    lauT jaa.eñ janāb ḳhatra hai

    bāġhbānī hai mere hāthoñ meñ

    gul hai zer-e-itāb ḳhatra hai

    ham tahī-dast haiñ kidhar jaa.eñ

    har taraf be-hisāb ḳhatra hai

    regzāroñ meñ ab bahār aa.e

    jal rahe haiñ gulāb ḳhatra hai

    raat āñkhoñ meñ jab guzar jaa.e

    bandish-e-iztirāb ḳhatra hai

    kaise jhelen azab KHatra hai

    aap hain be-naqab KHatra hai

    apni dahliz tak rahen sahib

    lauT jaen janab KHatra hai

    baghbani hai mere hathon mein

    gul hai zer-e-itab KHatra hai

    hum tahi-dast hain kidhar jaen

    har taraf be-hisab KHatra hai

    regzaron mein ab bahaar aae

    jal rahe hain gulab KHatra hai

    raat aankhon mein jab guzar jae

    bandish-e-iztirab KHatra hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now