Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise kah den halal kuchh bhi nahin

Mukhtar Kukravi

kaise kah den halal kuchh bhi nahin

Mukhtar Kukravi

MORE BYMukhtar Kukravi

    kaise kah deñ halāl kuchh bhī nahīñ

    us husn-o-jamāl kuchh bhī nahīñ

    kyoñ vo hai mire tasavvur meñ

    jis ko merā ḳhayāl kuchh bhī nahīñ

    tanhā rahne jis ko aadat hai

    us ko hijr-o-visāl kuchh bhī nahīñ

    koī jaatā hai to chalā jaa.e

    us mujh ko malāl kuchh bhī nahīñ

    baat bas mujh se vo nahīñ kartā

    us mujh se vabāl kuchh bhī nahīñ

    us shoḳhī bayān ho kaise

    us ke aage ġhazāl kuchh bhī nahīñ

    baḳhsh us ne sirf tanhā.ī

    gul añgūThī rūmāl kuchh bhī nahīñ

    ye suḳhan rab ināyat hai

    is meñ merā kamāl kuchh bhī nahīñ

    chār-sū dekho hai bapā mahshar

    dost ahl-o-ayāl kuchh bhī nahīñ

    hai jo 'muḳhtār' us badan meñ mahak

    rang ḳhushbū gulāl kuchh bhī nahīñ

    kaise kah den halal kuchh bhi nahin

    us ka husn-o-jamal kuchh bhi nahin

    kyon wo hi hai mere tasawwur mein

    jis ko mera KHayal kuchh bhi nahin

    tanha rahne ki jis ko aadat hai

    us ko hijr-o-visal kuchh bhi nahin

    koi jata hai to chala jae

    us ka mujh ko malal kuchh bhi nahin

    baat bas mujh se wo nahin karta

    us ka mujh se wabaal kuchh bhi nahin

    us ki shoKHi bayan ho kaise

    us ke aage ghazal kuchh bhi nahin

    baKHsh di us ne sirf tanhai

    gul anguThi rumal kuchh bhi nahin

    ye suKHan rab ki hi inayat hai

    is mein mera kamal kuchh bhi nahin

    chaar-su dekho hai bapa mahshar

    dost ahl-o-ayal kuchh bhi nahin

    hai jo 'muKHtar' us badan mein mahak

    rang KHushbu gulal kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now