kaise kah dun mujhko tanhai mein yaad aata hai kaun
kaise kah duuñ mujh ko tanhā.ī meñ yaad aatā hai kaun
raaz kī ye baat hai aur raaz batlātā hai kaun
rone vaale kyā tire dil meñ bhī hai merā sā ġham
yuuñ kisī ke ġham ko sun kar ashk bhar laatā hai kaun
husn hai maġhrūr to ye ahl-e-dil kī hai ḳhatā
ik jhalak meñ husn kā dīvāna ban jaatā hai kaun
dūsroñ ko kahne vaalā aadmī hai ḳhud burā
lekin apne zarf ko ā.īna dikhlātā hai kaun
kaun chashm-e-husn se piinā na chāhe hai sharāb
ishq maanā hai musībat phir bhī ghabrātā hai kaun
shaiḳh sāhib haiñ ki koī ġham-zada ye shab Dhale
dekhnā saaqī dar-e-mai-ḳhāna khaTkātā hai kaun
luuT lī jis ne 'zafar' kī zindagī kī har ḳhushī
kaun hai vo bevafā ye baat batlātā hai kaun
kaise kah dun mujh ko tanhai mein yaad aata hai kaun
raaz ki ye baat hai aur raaz batlata hai kaun
rone wale kya tere dil mein bhi hai mera sa gham
yun kisi ke gham ko sun kar ashk bhar lata hai kaun
husn hai maghrur to ye ahl-e-dil ki hai KHata
ek jhalak mein husn ka diwana ban jata hai kaun
dusron ko kahne wala aadmi hai KHud bura
lekin apne zarf ko aaina dikhlata hai kaun
kaun chashm-e-husn se pina na chahe hai sharab
ishq mana hai musibat phir bhi ghabraata hai kaun
shaiKH sahib hain ki koi gham-zada ye shab Dhale
dekhna saqi dar-e-mai-KHana khaTkata hai kaun
luT li jis ne 'zafar' ki zindagi ki har KHushi
kaun hai wo bewafa ye baat batlata hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.