kaise kah dun yar yaqinan
kaise kah duuñ yaar yaqīnan
hogī ab to haar yaqīnan
haath meñ hai himmat kā chappū
ho jā.eñge paar yaqīnan
aas chhoḌ kar tum kar loge
ḳhud ko hī mismār yaqīnan
ik din koī abr karegā
ḳhushiyoñ kī bauchhār yaqīnan
tinke se le kar parbat tak
kuchh bhī nahīñ bekār yaqīnan
maañ ke jīvan meñ aa.egā
ik hafte itvār yaqīnan
Thiik se rakhne par bante haiñ
patthar bhī mīnār yaqīnan
Takkar karvā kar mānegī
duniyā kī raftār yaqīnan
dukh se bhī honā paḌtā hai
sab ko 'sifar' do-chār yaqīnan
kaise kah dun yar yaqinan
hogi ab to haar yaqinan
hath mein hai himmat ka chappu
ho jaenge par yaqinan
aas chhoD kar tum kar loge
KHud ko hi mismar yaqinan
ek din koi abr karega
KHushiyon ki bauchhaar yaqinan
tinke se le kar parbat tak
kuchh bhi nahin bekar yaqinan
man ke jiwan mein aaega
ek hafte itwar yaqinan
Thik se rakhne par bante hain
patthar bhi minar yaqinan
Takkar karwa kar manegi
duniya ki raftar yaqinan
dukh se bhi hona paDta hai
sab ko 'sifar' do-chaar yaqinan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.