kaise kahen ki kaise guzari hai zindagi
kaise kaheñ ki kaise guzārī hai zindagī
kyā bojh thī ki sar se utārī hai zindagī
maqtal the gaam gaam ye rasta tavīl thā
apne lahū se ham ne sañvārī hai zindagī
kartī hai ḳhud talāsh ye kāñToñ kā rāsta
is vāste sukūn se 'aarī hai zindagī
qaa.em hai ek fāsla donoñ ke darmiyāñ
shak aur yaqīñ ke saath ab jaarī hai zindagī
maiñ jāntī huuñ zindagī hai karb-o-iztirāb
sāñsoñ ke bojh se baḌī bhārī hai zindagī
'shāhīn' apnī haar pe hai mutma.in ki bas
ik jiit ke liye hī to haarī hai zindagī
kaise kahen ki kaise guzari hai zindagi
kya bojh thi ki sar se utari hai zindagi
maqtal the gam gam ye rasta tawil tha
apne lahu se hum ne sanwari hai zindagi
karti hai KHud talash ye kanTon ka rasta
is waste sukun se 'ari hai zindagi
qaem hai ek fasla donon ke darmiyan
shak aur yaqin ke sath ab jari hai zindagi
main jaanti hun zindagi hai karb-o-iztirab
sanson ke bojh se baDi bhaari hai zindagi
'shahin' apni haar pe hai mutmain ki bas
ek jit ke liye hi to haari hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.