kaise kaise is duniya mein bhes bana kar aae log
kaise kaise is duniyā meñ bhes banā kar aa.e log
ab pahchāne hī nahīñ jaate apne aur parā.e log
ġham kā bojh uThāte kab tak āḳhir rāhat paane ko
aur kahāñ jaate vo uTh kar mai-ḳhāne meñ aa.e log
khelnā chāho tum bhī khelo lekin itnā yaad rahe
ḳhuun kī holī khel ke aksar duniyā meñ pachhtā.e log
be-maqsad bhī ban jaate haiñ afsāne is duniyā meñ
dushman ho jaate haiñ aksar apne hī hamsā.e log
un kā jaur vahī hai ab tak un kā taur vahī ab tak
haal hamārā dekh ke ab to 'rahbar' sab ghabrā.e log
kaise kaise is duniya mein bhes bana kar aae log
ab pahchane hi nahin jate apne aur parae log
gham ka bojh uThate kab tak aaKHir rahat pane ko
aur kahan jate wo uTh kar mai-KHane mein aae log
khelna chaho tum bhi khelo lekin itna yaad rahe
KHun ki holi khel ke aksar duniya mein pachhtae log
be-maqsad bhi ban jate hain afsane is duniya mein
dushman ho jate hain aksar apne hi hamsae log
un ka jaur wahi hai ab tak un ka taur wahi ab tak
haal hamara dekh ke ab to 'rahbar' sab ghabrae log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.