kaise kaise KHwab ab hum ko dikhate hain ye log
kaise kaise KHwab ab hum ko dikhate hain ye log
Arvind Sharma Azaan
MORE BYArvind Sharma Azaan
kaise kaise ḳhvāb ab ham ko dikhāte haiñ ye log
ek pāgal ko yahāñ pāgal banāte haiñ ye log
jaane kyā is meñ raqam kar Daalā thā tū ne batā
itnī nafrat se jo terā ḳhat jalāte haiñ ye log
merī fitrat hai mujhe mushkil-pasandī kā hai shauq
is liye aksar hī mujh ko āzmāte haiñ ye log
hai gunāhoñ par mujhe afsos aur vo dekhiye
sharmsārī se yahāñ par muñh chhupāte haiñ ye log
jab se ye zāhir huā ki dil merā hai ā.īna
mujh ko aatā dekh kar patthar uThāte haiñ ye log
raakh ke ik Dher meñ tabdīl hogā ek din
phir na jaane kyoñ badan itnā sajāte haiñ ye log
maiñ sarā.e ke nigahbāñ kī tarah tanhā rahā
dil meñ mehmāñ kī tarah ab aate jaate haiñ ye log
raas aatā hī nahīñ hai sabr kā phal kyoñ unheñ
jald-bāzī meñ hamesha muñh kī khāte haiñ ye log
umr bhar laḌtā rahā jin ke liye maiñ ḳhud 'azān'
ban ke ab mere muḳhālif sar uThāte haiñ ye log
kaise kaise KHwab ab hum ko dikhate hain ye log
ek pagal ko yahan pagal banate hain ye log
jaane kya is mein raqam kar Dala tha tu ne bata
itni nafrat se jo tera KHat jalate hain ye log
meri fitrat hai mujhe mushkil-pasandi ka hai shauq
is liye aksar hi mujh ko aazmate hain ye log
hai gunahon par mujhe afsos aur wo dekhiye
sharmsari se yahan par munh chhupate hain ye log
jab se ye zahir hua ki dil mera hai aaina
mujh ko aata dekh kar patthar uThate hain ye log
rakh ke ek Dher mein tabdil hoga ek din
phir na jaane kyon badan itna sajate hain ye log
main sarae ke nigahban ki tarah tanha raha
dil mein mehman ki tarah ab aate jate hain ye log
ras aata hi nahin hai sabr ka phal kyon unhen
jald-bazi mein hamesha munh ki khate hain ye log
umr bhar laDta raha jin ke liye main KHud 'azan'
ban ke ab mere muKHalif sar uThate hain ye log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.