kaise kaise mausam guzre yaad nahin
kaise kaise mausam guzre yaad nahīñ
sar par kitne patthar barse yaad nahīñ
zaḳhm pe us ne marham rakkhā yaad rahā
dil meñ kitne nashtar TuuTe yaad nahīñ
maiñ bhī thak kar haañp rahā huuñ raste meñ
kitne sañgī sāthī bichhḌe yaad nahīñ
biivī bachchoñ kā ab ronā-dhonā kyā
ham ko to ḳhud apne nauhe yaad nahīñ
tum duniyā-dārī meñ rahte ho gum lekin
ham ko to apne bhī bachche yaad nahīñ
kaise kaise us kī adā meñ khote the
ham ko ab biivī ke naḳhre yaad nahīñ
kaise kaise mausam guzre yaad nahin
sar par kitne patthar barse yaad nahin
zaKHm pe us ne marham rakkha yaad raha
dil mein kitne nashtar TuTe yaad nahin
main bhi thak kar hanp raha hun raste mein
kitne sangi sathi bichhDe yaad nahin
biwi bachchon ka ab rona-dhona kya
hum ko to KHud apne nauhe yaad nahin
tum duniya-dari mein rahte ho gum lekin
hum ko to apne bhi bachche yaad nahin
kaise kaise us ki ada mein khote the
hum ko ab biwi ke naKHre yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.