kaise kaise mere manzar ho gae
kaise kaise mere manzar ho ga.e
ashk āñkhoñ meñ samundar ho ga.e
zindagī āvārgī tak aa ga.ī
tum se bichhḌe aur be-ghar ho ga.e
koī manzil aur na qadmoñ ke nishāñ
ham tire raste kā patthar ho ga.e
apnī barbādī kā qissa muḳhtasar
hādse apnā muqaddar ho ga.e
ā.inoñ kī ye jasārat dekhiye
mere qāmat ke barābar ho ga.e
baḌh ga.ī 'ḳhurshīd' jab shohrat mirī
dostoñ ke ġhair tevar ho ga.e
kaise kaise mere manzar ho gae
ashk aankhon mein samundar ho gae
zindagi aawargi tak aa gai
tum se bichhDe aur be-ghar ho gae
koi manzil aur na qadmon ke nishan
hum tere raste ka patthar ho gae
apni barbaadi ka qissa muKHtasar
hadse apna muqaddar ho gae
aainon ki ye jasarat dekhiye
mere qamat ke barabar ho gae
baDh gai 'KHurshid' jab shohrat meri
doston ke ghair tewar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.