kaise kaise mile din ko sae hamein
kaise kaise mile din ko saa.e hameñ
raat ne bhed saare batā.e hameñ
rāz-e-hastī to kyā khul sakegā kabhī
mil ga.e the magar kuchh kinā.e hameñ
gard haiñ kārvān-e-guzishta kī ham
kyā ab āñkhoñ pe koī biThā.e hameñ
saarī dil-dāriyāñ dekh kar so.e haiñ
ab na zanhār koī jagā.e hameñ
naaz jin se hamāre na uTh paa.e the
aaj le jā rahe haiñ uThā.e hameñ
dhuup meñ zindagī kī jale haiñ bahut
le chalo dosto saa.e saa.e hameñ
ik navā thī fazāoñ meñ gum ho ga.ī
ham yahīñ haiñ magar kaun paa.e hameñ
chal diye the 'muhib' chhoḌ kar naav tum
Dūbte dam bahut yaad aa.e hameñ
kaise kaise mile din ko sae hamein
raat ne bhed sare batae hamein
raaz-e-hasti to kya khul sakega kabhi
mil gae the magar kuchh kinae hamein
gard hain karwan-e-guzishta ki hum
kya ab aankhon pe koi biThae hamein
sari dil-dariyan dekh kar soe hain
ab na zanhaar koi jagae hamein
naz jin se hamare na uTh pae the
aaj le ja rahe hain uThae hamein
dhup mein zindagi ki jale hain bahut
le chalo dosto sae sae hamein
ek nawa thi fazaon mein gum ho gai
hum yahin hain magar kaun pae hamein
chal diye the 'muhib' chhoD kar naw tum
Dubte dam bahut yaad aae hamein
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 320)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.