Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise karta un logon ka man kabhi main

Manik Vishwakarma Navrang

kaise karta un logon ka man kabhi main

Manik Vishwakarma Navrang

MORE BYManik Vishwakarma Navrang

    kaise kartā un logoñ maan kabhī maiñ

    bhuul nahīñ paayā apnā apmān kabhī maiñ

    jis din har ghar ke chūlhe par aag jalī ho

    dekh nahīñ paayā aisā din maan kabhī maiñ

    chaah nahīñ hai man meñ ab kuchh bhī paane

    roz sajāyā kartā thā armān kabhī maiñ

    aaj luTānā chaah rahā huuñ sab kuchh apnā

    ḳhuub juTāyā kartā thā sāmān kabhī maiñ

    dafn hue jin āñkhoñ meñ ḳhvāb hazāroñ

    de na sakā un ko pal-bhar muskān kabhī maiñ

    biknā paḌ jaa.e to bik jā.ūñgā lekin

    bech nahīñ saktā apnā īmān kabhī maiñ

    dam hotā hai sāloñ ke anubhav is meñ

    vyakt nahīñ kartā yuuñ anumān kabhī maiñ

    logoñ ko dukh pahuñchātī haiñ achchhī bāteñ

    chhoḌ diyā bāñTā kartā thā gyaan kabhī maiñ

    mushkil se ban paatā huuñ maiñ mitr kisī

    muft nahīñ detā 'naurang' anudān kabhī maiñ

    kaise karta un logon ka man kabhi main

    bhul nahin paya apna apman kabhi main

    jis din har ghar ke chulhe par aag jali ho

    dekh nahin paya aisa din man kabhi main

    chah nahin hai man mein ab kuchh bhi pane ki

    roz sajaya karta tha arman kabhi main

    aaj luTana chah raha hun sab kuchh apna

    KHub juTaya karta tha saman kabhi main

    dafn hue jin ki aankhon mein KHwab hazaron

    de na saka un ko pal-bhar muskan kabhi main

    bikna paD jae to bik jaunga lekin

    bech nahin sakta apna iman kabhi main

    dam hota hai salon ke anubhaw ka is mein

    wyakt nahin karta yun hi anuman kabhi main

    logon ko dukh pahunchati hain achchhi baaten

    chhoD diya banTa karta tha gyan kabhi main

    mushkil se ban pata hun main mitr kisi ka

    muft nahin deta 'naurang' anudan kabhi main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now