kaise manzil pe pahunch paenge jaane wale
kaise manzil pe pahuñch pā.eñge jaane vaale
rāsta bhuul ga.e raah batāne vaale
kis tarah maiñ ne guzāre haiñ shab-o-roz mire
kyā tujhe yaad nahīñ mujh ko rulāne vaale
kursiyāñ paane kī logoñ kī siyāsat dekho
aaj sharminda haiñ masjid ko girāne vaale
mausamoñ kī tarah tabdīl huā karte haiñ
rahnumā aaj ke ḳhvāboñ ke dikhāne vaale
ḳhatm ḳhuddārī kā ehsās huā 'shā.ista'
kab nazar aate haiñ millat ko bachāne vaale
kaise manzil pe pahunch paenge jaane wale
rasta bhul gae rah batane wale
kis tarah main ne guzare hain shab-o-roz mere
kya tujhe yaad nahin mujh ko rulane wale
kursiyan pane ki logon ki siyasat dekho
aaj sharminda hain masjid ko girane wale
mausamon ki tarah tabdil hua karte hain
rahnuma aaj ke KHwabon ke dikhane wale
KHatm KHuddari ka ehsas hua 'shaista'
kab nazar aate hain millat ko bachane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.