kaise na-karda gunahon ki pashemani mein hun
kaise nā-karda gunāhoñ kī pashemānī meñ huuñ
paḌh ke fard-e-jurm apnī saḳht hairānī meñ huuñ
mere andar hai tirī yādoñ kā girtā ābshār
muddatoñ se maiñ nasheb-e-koh-e-vīrānī meñ huuñ
dostoñ ne jab se kī mujh par ināyat kī nazar
tab se maiñ har lamha apnī hī nigahbānī meñ huuñ
jis jagah sannāTe bhī aane se karte haiñ gurez
us khañDar kī ek muddat se maiñ darbānī meñ huuñ
jiit kar bhī kis qadar vo ranj-e-tanhā.ī meñ hai
ḳhānumāñ-barbād ho kar maiñ farāvānī meñ huuñ
fikr koī haal kī 'aḳhtar' na maazī kā hai ġham
maiñ to aane vaale mausam kī pareshānī meñ huuñ
kaise na-karda gunahon ki pashemani mein hun
paDh ke fard-e-jurm apni saKHt hairani mein hun
mere andar hai teri yaadon ka girta aabshaar
muddaton se main nasheb-e-koh-e-virani mein hun
doston ne jab se ki mujh par inayat ki nazar
tab se main har lamha apni hi nigahbani mein hun
jis jagah sannaTe bhi aane se karte hain gurez
us khanDar ki ek muddat se main darbani mein hun
jit kar bhi kis qadar wo ranj-e-tanhai mein hai
KHanuman-barbaad ho kar main farawani mein hun
fikr koi haal ki 'aKHtar' na mazi ka hai gham
main to aane wale mausam ki pareshani mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.