kaise nasib ka koi chakkar badal gaya
kaise nasīb kā koī chakkar badal gayā
merā Thikānā badlā tirā ghar badal gayā
dariyā ke ham kināre mileñge kabhī nahīñ
badlī fazā.eñ aisī ki manzar badal gayā
koī ḳhabar na us kī na paiġhām hī milā
aatā nahīñ hai chhat pe kabūtar badal gayā
mumkin nahīñ hamārī mulāqāt ho kabhī
ab tere kūche se mirā daftar badal gayā
ummīd thī sabhī ko nibhā deñge 'umr-bhar
pakkā irāda un kā ye kyūñkar badal gayā
jis kī misāl dete thakā maiñ nahīñ kabhī
hairān huuñ ki kaise vo dilbar badal gayā
tai thā badalnā us kā bhalā kaise rokte
afsos kyoñ kareñ mirā 'sāgar' badal gayā
kaise nasib ka koi chakkar badal gaya
mera Thikana badla tera ghar badal gaya
dariya ke hum kinare milenge kabhi nahin
badli fazaen aisi ki manzar badal gaya
koi KHabar na us ki na paigham hi mila
aata nahin hai chhat pe kabutar badal gaya
mumkin nahin hamari mulaqat ho kabhi
ab tere kuche se mera daftar badal gaya
ummid thi sabhi ko nibha denge 'umr-bhar
pakka irada un ka ye kyunkar badal gaya
jis ki misal dete thaka main nahin kabhi
hairan hun ki kaise wo dilbar badal gaya
tai tha badalna us ka bhala kaise rokte
afsos kyon karen mera 'sagar' badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.